mafqud kyon hain gham ke KHaridar shahr mein
mafqūd kyoñ haiñ ġham ke ḳharīdār shahr meñ
mamnū' kyoñ hai dard kā iz.hār shahr meñ
hai lafz lafz aap kā gul-bār shahr meñ
phailī huī hai nik.hat-e-guftār shahr meñ
barg-e-gulāb par jo raqam thiiñ kahāniyāñ
zahrāb mausamoñ se huiiñ ḳhaar shahr meñ
sapne nukīlī rātoñ meñ majrūh ho ga.e
zaḳhmī haiñ saarī nuur kī aqdār shahr meñ
mā'sūm ārzūoñ ke sar par thā jis kā lams
vo dast-e-ḳhush-adā huā talvār shahr meñ
shādāb jangaloñ kī javānī to kaT ga.ī
ugne lagī hai hasrat-e-ashjār shahr meñ
fahm-o-ḳhirad kī sat.h pe buqrāt haiñ sabhī
ḳhvābīda hai zamīr hī bedār shahr meñ
mā'sūm āñchaloñ se nichoḌī huī hayā
marġhūb shai hai vahshī-e-ḳhūñḳhār shahr meñ
chingāriyāñ nigāh meñ lahje meñ aañch sī
kyā paikar-e-sifāl hue naar shahr meñ
ālūdgī meñ lazzat-e-nik.hat fanā huī
ḳhushbū kā mol kuchh nahīñ sarshār shahr meñ
mafqud kyon hain gham ke KHaridar shahr mein
mamnu' kyon hai dard ka izhaar shahr mein
hai lafz lafz aap ka gul-bar shahr mein
phaili hui hai nikhat-e-guftar shahr mein
barg-e-gulab par jo raqam thin kahaniyan
zahrab mausamon se huin KHar shahr mein
sapne nukili raaton mein majruh ho gae
zaKHmi hain sari nur ki aqdar shahr mein
ma'sum aarzuon ke sar par tha jis ka lams
wo dast-e-KHush-ada hua talwar shahr mein
shadab jangalon ki jawani to kaT gai
ugne lagi hai hasrat-e-ashjar shahr mein
fahm-o-KHirad ki sath pe buqraat hain sabhi
KHwabida hai zamir hi bedar shahr mein
ma'sum aanchalon se nichoDi hui haya
marghub shai hai wahshi-e-KHunKHar shahr mein
chingariyan nigah mein lahje mein aanch si
kya paikar-e-sifal hue nar shahr mein
aaludgi mein lazzat-e-nikhat fana hui
KHushbu ka mol kuchh nahin sarshaar shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.