magar in aankhon mein kis subh ke hawale the
magar in āñkhoñ meñ kis sub.h ke havāle the
hamāre naam ke saare hurūf kaale the
ye ḳhāk-o-bād ye zulmat-o-nūr-o-bahr-o-bar
kitāb-e-jāñ meñ ye kis zaat ke havāle the
hai rañg rañg magar āftāb ā.īna
jabīn-e-shab pe to likkhe savāl kaale the
misāl-e-barq girī ek aan teġh-e-havā
abhī darīchoñ se logoñ ne sar nikāle the
yahāñ jo aaj shajar sāya-dār hai 'muztar'
yahīñ pe ham bhī kabhī barg-o-bār vaale the
magar in aankhon mein kis subh ke hawale the
hamare nam ke sare huruf kale the
ye KHak-o-baad ye zulmat-o-nur-o-bahr-o-bar
kitab-e-jaan mein ye kis zat ke hawale the
hai rang rang magar aaftab aaina
jabin-e-shab pe to likkhe sawal kale the
misal-e-barq giri ek aan tegh-e-hawa
abhi darichon se logon ne sar nikale the
yahan jo aaj shajar saya-dar hai 'muztar'
yahin pe hum bhi kabhi barg-o-bar wale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.