magar ye qissa tab ka hai ki jab uske qarin the hum
magar ye qissa tab kā hai ki jab us ke qarīñ the ham
ye saarā āsmāñ apnā thā ḳhush-bāsh-o-hasīñ the ham
yahīñ haañ jis jagah ab ḳhaak uḌtī phirtī hai har sū
yahīñ apne makāñ the jin meñ barsoñ tak makīñ the ham
guzishta raat sunte haiñ bahut hī tez āñdhī thī
guzishta raat lekin shahr se bāhar kahīñ the ham
savād-e-nā-murādī meñ burīda par phaḌakte haiñ
magar kuchh yaad paḌtā hai ki bāzū-e-yaqīñ the ham
na jaane kār-e-duniyā kis tarah raas aa gayā itnā
ki yuuñ masrūf to kār-e-junūñ meñ bhī nahīñ the ham
magar ye qissa tab ka hai ki jab us ke qarin the hum
ye sara aasman apna tha KHush-bash-o-hasin the hum
yahin han jis jagah ab KHak uDti phirti hai har su
yahin apne makan the jin mein barson tak makin the hum
guzishta raat sunte hain bahut hi tez aandhi thi
guzishta raat lekin shahr se bahar kahin the hum
sawad-e-na-muradi mein burida par phaDakte hain
magar kuchh yaad paDta hai ki bazu-e-yaqin the hum
na jaane kar-e-duniya kis tarah ras aa gaya itna
ki yun masruf to kar-e-junun mein bhi nahin the hum
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 21)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.