maghrur mohabbat ki jaza ras na aai
maġhrūr mohabbat kī jazā raas na aa.ī
chāhī thī jo ham ne vo vafā raas na aa.ī
ham ne to har ik hukm pe labbaik kahā thā
phir bhī use taslīm-o-razā raas na aa.ī
ruḳh moḌ liyā zaḳhm kī 'ādat ko lagā kar
mujh ko ye judā.ī bhī zarā raas na aa.ī
jaanā thā mujhe terī mohabbat se pare yuuñ
dekhā to mujhe ḳhud kī dashā raas na aa.ī
kyoñ 'ishq kī 'rahmān' ne ye raah chunī thī
phir us ko davā ho yā du'ā raas na aa.ī
maghrur mohabbat ki jaza ras na aai
chahi thi jo hum ne wo wafa ras na aai
hum ne to har ek hukm pe labbaik kaha tha
phir bhi use taslim-o-raza ras na aai
ruKH moD liya zaKHm ki 'adat ko laga kar
mujh ko ye judai bhi zara ras na aai
jaana tha mujhe teri mohabbat se pare yun
dekha to mujhe KHud ki dasha ras na aai
kyon 'ishq ki 'rahman' ne ye rah chuni thi
phir us ko dawa ho ya du'a ras na aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.