mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila
mah-jabīnoñ kī mohabbat kā natīja na milā
murġhiyāñ pālīñ magar ek bhī anDā na milā
husn-e-ḳhud-bīñ na milā husn-e-ḳhud-ārā na milā
jab maiñ sasurāl gayā ek bhī saalā na milā
kis tarah jaatā koī manzil-e-maqsad kī taraf
koī yakka koī tāñga koī rickshaw na milā
nazar aayā na kahīñ nāseh-e-nādāñ merā
justujū jis kī thī vo miTTī kā babvā na milā
ab kī nākām rahā qā.id-e-mulk-o-millat
ab kī barbādi-e-aqvām kā Thekā na milā
shaiḳh-sāhib ke talavvun kā fusūñ hai ye bhī
masjidoñ meñ kabhī ik miTTī kā badhnā na milā
ai ġham-e-dost ziyāfat maiñ tirī kyā kartā
ek ḳhurāk se rāshan hī ziyāda na milā
laakh bāzār-e-mohabbat ke lagā.e phere
be-vaqūfī ke sivā aur koī saudā na milā
kis tarah se koī ta.amīr-e-nasheman kartā
kabhī sutlī na milī aur kabhī seThā na milā
dost kī shīrīñ-bayānī kā mazā kyā kahiye
aisī barfī kabhī aisā kabhī peḌā na milā
rakkhe hī rakkhe huī jins-e-karam sab barbād
ek bhūke ko magar paao bhar aaTā na milā
haath aa.egā na parvāna-e-jannat ai qaum
shaiḳh-sāhib ko agar halvā parāThā na milā
kis tarah se kisī tā'mīr kī hotī takmīl
vaqt par jab kabhī iiñTā kabhī gaarā na milā
aaj shamshīr-e-barahna vo liye phirte haiñ
jin ke ghar meñ kabhī ik baañs kā phaTTā na milā
mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila
murghiyan palin magar ek bhi anDa na mila
husn-e-KHud-bin na mila husn-e-KHud-ara na mila
jab main sasural gaya ek bhi sala na mila
kis tarah jata koi manzil-e-maqsad ki taraf
koi yakka koi tanga koi rickshaw na mila
nazar aaya na kahin naseh-e-nadan mera
justuju jis ki thi wo miTTi ka babwa na mila
ab ki nakaam raha qaid-e-mulk-o-millat
ab ki barbaadi-e-aqwam ka Theka na mila
shaiKH-sahib ke talawwun ka fusun hai ye bhi
masjidon mein kabhi ek miTTi ka badhna na mila
ai gham-e-dost ziyafat main teri kya karta
ek KHurak se rashan hi ziyaada na mila
lakh bazar-e-mohabbat ke lagae phere
be-waqufi ke siwa aur koi sauda na mila
kis tarah se koi tamir-e-nasheman karta
kabhi sutli na mili aur kabhi seTha na mila
dost ki shirin-bayani ka maza kya kahiye
aisi barfi kabhi aisa kabhi peDa na mila
rakkhe hi rakkhe hui jins-e-karam sab barbaad
ek bhuke ko magar pao bhar aaTa na mila
hath aaega na parwana-e-jannat ai qaum
shaiKH-sahib ko agar halwa paraTha na mila
kis tarah se kisi ta'mir ki hoti takmil
waqt par jab kabhi inTa kabhi gara na mila
aaj shamshir-e-barahna wo liye phirte hain
jin ke ghar mein kabhi ek bans ka phaTTa na mila
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 51)
- Author : irfaan abbas
- Publication : uttarpardesh urdu acadmey (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.