mah-o-nujum pe Dali kamand logon ne
mah-o-nujūm pe Daalī kamand logoñ ne
kiyā ye ḳhud ko bahut sar-buland logoñ ne
nizām-e-husn-e-chaman ke vaqār kī ḳhātir
ba-sad ḳhulūs sahe haiñ gazand logoñ ne
vafā kā naam sabhī kī zabāñ pe thā lekin
vafā ke naam pe dī jaan chand logoñ ne
samā.atoñ ke darīche khuleñ to kis ke liye
sadā.eñ kar lī haiñ sīnoñ meñ band logoñ ne
zamīñ kā rizq the āḳhir zamīñ ke ho ke rahe
hazār baar lagā.ī zaqand logoñ ne
halāvateñ tire lab kī dikhā ga.ī haiñ kamāl
sam-e-hayāt ko samjhā hai qand logoñ ne
sukūt-e-shab meñ bhalā kis tarah sadā aa.e
laboñ ko kar liyā 'sajjād' band logoñ ne
mah-o-nujum pe Dali kamand logon ne
kiya ye KHud ko bahut sar-buland logon ne
nizam-e-husn-e-chaman ke waqar ki KHatir
ba-sad KHulus sahe hain gazand logon ne
wafa ka nam sabhi ki zaban pe tha lekin
wafa ke nam pe di jaan chand logon ne
samaaton ke dariche khulen to kis ke liye
sadaen kar li hain sinon mein band logon ne
zamin ka rizq the aaKHir zamin ke ho ke rahe
hazar bar lagai zaqand logon ne
halawaten tere lab ki dikha gai hain kamal
sam-e-hayat ko samjha hai qand logon ne
sukut-e-shab mein bhala kis tarah sada aae
labon ko kar liya 'sajjad' band logon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.