mahaz-e-zist pe tanha hi laD raha hun main
mahāz-e-zīst pe tanhā hī laḌ rahā huuñ maiñ
ḳhud apne madd-e-muqābil khaḌā huā huuñ maiñ
jo sāmne hai vo kuchh bhī nahīñ haqīqat meñ
nazar jo aatā huuñ is ke 'alāva kyā huuñ maiñ
kisī ke aa.ine par 'aks kis tarah bantā
jab apne aap pe zāhir nahīñ huā huuñ maiñ
nikāl pheñk badan kī dukān se mujh ko
matā'-e-jāñ tirā nuqsān kar rahā huuñ maiñ
mahaz-e-zist pe tanha hi laD raha hun main
KHud apne madd-e-muqabil khaDa hua hun main
jo samne hai wo kuchh bhi nahin haqiqat mein
nazar jo aata hun is ke 'alawa kya hun main
kisi ke aaine par 'aks kis tarah banta
jab apne aap pe zahir nahin hua hun main
nikal phenk badan ki dukan se mujh ko
mata'-e-jaan tera nuqsan kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.