mahak kaliyon ki phulon ki hansi achchhi nahin lagti
mahak kaliyoñ kī phūloñ kī hañsī achchhī nahīñ lagtī
tumhāre bin hameñ ye zindagī achchhī nahīñ lagtī
bhale mil jaa.e daulat aur shohrat ham ko duniyā meñ
magar dil ko mohabbat kī kamī achchhī nahīñ lagtī
zarā sī Thes lagne se chhalak paḌte haiñ kyuuñ aañsū
hamesha aañkh meñ itnī namī achchhī nahīñ lagtī
mohabbat ke safar meñ rut bhī aatī hai judā.ī kī
hameñ us vaqt koī bhī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī
kabhī to abr ban kar jhuum kar niklo kahīñ barso
ki har mausam meñ ye sanjīdgī achchhī nahīñ lagtī
mahak kaliyon ki phulon ki hansi achchhi nahin lagti
tumhaare bin hamein ye zindagi achchhi nahin lagti
bhale mil jae daulat aur shohrat hum ko duniya mein
magar dil ko mohabbat ki kami achchhi nahin lagti
zara si Thes lagne se chhalak paDte hain kyun aansu
hamesha aankh mein itni nami achchhi nahin lagti
mohabbat ke safar mein rut bhi aati hai judai ki
hamein us waqt koi bhi KHushi achchhi nahin lagti
kabhi to abr ban kar jhum kar niklo kahin barso
ki har mausam mein ye sanjidgi achchhi nahin lagti
- Book : Apna to mile koi (Pg. 3)
- Author : Devmani Pandey
- Publication : Amrit parkashan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.