mahakte phul jo har-su nazar mein rakhta hai
mahakte phuul jo har-sū nazar meñ rakhtā hai
vo shaḳhs apnī udāsī ko ghar meñ rakhtā hai
isī liye to bulandī hai us ke zer-e-qadam
hunar uḌaan ke vo bāl-o-par meñ rakhtā hai
hameñ to pyaar se dam bhar kī bhī nahīñ fursat
tirā jigar hai jo nafrat jigar meñ rakhtā hai
har ek rāhguzar us kī kyoñ na ho raushan
tirā ḳhayāl jo apne safar meñ rakhtā hai
isī liye hī mujhe ḳhūbiyāñ huiiñ hāsil
vo merī ḳhāmiyāñ apnī nazar meñ rakhtā hai
badal hī degā muqaddar kī sab lakīroñ ko
vo e'timād jo dast-e-hunar meñ rakhtā hai
'zahīn' faisle us par hī chhoḌ de saare
tū baat baat ko kyoñ ḳhair-o-shar meñ rakhtā hai
mahakte phul jo har-su nazar mein rakhta hai
wo shaKHs apni udasi ko ghar mein rakhta hai
isi liye to bulandi hai us ke zer-e-qadam
hunar uDan ke wo baal-o-par mein rakhta hai
hamein to pyar se dam bhar ki bhi nahin fursat
tera jigar hai jo nafrat jigar mein rakhta hai
har ek rahguzar us ki kyon na ho raushan
tera KHayal jo apne safar mein rakhta hai
isi liye hi mujhe KHubiyan huin hasil
wo meri KHamiyan apni nazar mein rakhta hai
badal hi dega muqaddar ki sab lakiron ko
wo e'timad jo dast-e-hunar mein rakhta hai
'zahin' faisle us par hi chhoD de sare
tu baat baat ko kyon KHair-o-shar mein rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.