mahakti zulf ke qisse to dastan se gae
mahaktī zulf ke qisse to dāstāñ se ga.e
vo silsile tire hamrāh darmiyāñ se ga.e
hamārā hashr bhī aisā hī hai tujhe kho kar
sitāre TuuT ke jaise ki āsmāñ se ga.e
havā uḌā ke kahāñ le ga.ī ḳhudā jaane
mileñge us se kabhī ab to is gumāñ se ga.e
na jaane kaun sī ummīd pe maiñ jiitā huuñ
ki mere chāhne vaale to is jahāñ se ga.e
ye apnī shūmī-e-qismat ki duur haiñ varna
na ham vafā se ga.e haiñ na tum zabāñ se ga.e
mahakti zulf ke qisse to dastan se gae
wo silsile tere hamrah darmiyan se gae
hamara hashr bhi aisa hi hai tujhe kho kar
sitare TuT ke jaise ki aasman se gae
hawa uDa ke kahan le gai KHuda jaane
milenge us se kabhi ab to is guman se gae
na jaane kaun si ummid pe main jita hun
ki mere chahne wale to is jahan se gae
ye apni shumi-e-qismat ki dur hain warna
na hum wafa se gae hain na tum zaban se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.