mahal-saraon ke diwar-o-dar se kya lena
mahal-saraon ke diwar-o-dar se kya lena
Mohammad Shafi Sitapuri
MORE BYMohammad Shafi Sitapuri
mahal-sarāoñ ke dīvār-o-dar se kyā lenā
tire gadāoñ ko la.al-o-guhar se kyā lenā
maiñ apne zarf ko apnī nazar se dekhūñgā
kisī kī fikr kisī kī nazar se kyā lenā
jo bāl-o-par ke sahāre uḌe parinda hai
maiñ aadmī huuñ mujhe bāl-o-par se kyā lenā
maiñ ḳhud bashar huuñ bashar se hai dostī merī
mujhe tasavvur-e-fauq-ul-bashar se kyā lenā
jo chal sako to chalo mere saath manzil tak
vagarna mujh ko tumhāre safar se kyā lenā
ik aadmī ko bhī insān jo banā na sake
muaaf karnā mujhe us hunar se kyā lenā
mujhe zamīn ke zarroñ meñ nuur bharnā hai
mirī talāsh ko shams-o-qamar se kyā lenā
use to dhuup kī chaukhaT se lauT jaanā hai
nasīm-e-sub.h ko phir dopahar se kyā lenā
hai kaun bhūkā añdherā hai kis ke ghar meñ 'shafī.a'
amīr-e-shahr ko aisī ḳhabar se kyā lenā
mahal-saraon ke diwar-o-dar se kya lena
tere gadaon ko lal-o-guhar se kya lena
main apne zarf ko apni nazar se dekhunga
kisi ki fikr kisi ki nazar se kya lena
jo baal-o-par ke sahaare uDe parinda hai
main aadmi hun mujhe baal-o-par se kya lena
main KHud bashar hun bashar se hai dosti meri
mujhe tasawwur-e-fauq-ul-bashar se kya lena
jo chal sako to chalo mere sath manzil tak
wagarna mujh ko tumhaare safar se kya lena
ek aadmi ko bhi insan jo bana na sake
muaf karna mujhe us hunar se kya lena
mujhe zamin ke zarron mein nur bharna hai
meri talash ko shams-o-qamar se kya lena
use to dhup ki chaukhaT se lauT jaana hai
nasim-e-subh ko phir dopahar se kya lena
hai kaun bhuka andhera hai kis ke ghar mein 'shafia'
amir-e-shahr ko aisi KHabar se kya lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.