mahfil-e-‘ishq ka diya hun main
mahfil-e-‘ishq kā diyā huuñ maiñ
tund jhoñkoñ meñ jal rahā huuñ maiñ
log is tarh mujh se bachte haiñ
vaqt kā jaise hādisa huuñ maiñ
merā chehra bhī terā chehra hai
ġhaur se dekh aa.ina huuñ maiñ
is qadar sahl mat samajh mujh ko
ek pechīda mas.ala huuñ maiñ
faisla ho chukā hai roz-e-azal
zindagī jurm hai sazā huuñ maiñ
merā qabza hai in safīnoñ par
tū ḳhudā hai to nāḳhudā huuñ maiñ
sang-reza sahī magar 'ilmī'
'arsh se Tuut kar girā huuñ maiñ
mahfil-e-‘ishq ka diya hun main
tund jhonkon mein jal raha hun main
log is tarh mujh se bachte hain
waqt ka jaise hadisa hun main
mera chehra bhi tera chehra hai
ghaur se dekh aaina hun main
is qadar sahl mat samajh mujh ko
ek pechida masala hun main
faisla ho chuka hai roz-e-azal
zindagi jurm hai saza hun main
mera qabza hai in safinon par
tu KHuda hai to naKHuda hun main
sang-reza sahi magar 'ilmi'
'arsh se Tut kar gira hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.