mahfil-e-yar mein aghyar raha karte hain
mahfil-e-yār meñ aġhyār rahā karte haiñ
ek ham haiñ ki judā.ī meñ jalā karte haiñ
mus.haf-e-ruḳh kī tilāvat meñ rahā karte haiñ
bas isī tarah se ham yād-e-ḳhudā karte haiñ
naqsh-e-pā raah meñ un kā nazar aa.e kyūñkar
ḳhūb-rū dīda-e-āshiq pe jalā karte haiñ
naza.a kā vaqt jo aaya to kahā zālim ne
dekho is tarah se ham va.ada vafā karte haiñ
fitna-e-dahr haiñ saare qad-e-bālā vaale
jis taraf jaate haiñ ik hashr bapā karte haiñ
chashm-e-maḳhmūr kī mastī se hai mastī apnī
nargisīñ jaam meñ ham phuul piyā karte haiñ
mujh se un se jo huā kartī haiñ bāteñ sar-e-bazm
sham.a kī tarah se aġhyār jalā karte haiñ
naza.a meñ us ko bulāyā to ye kahlā bhejā
chāhne vaale to har roz marā karte haiñ
daaġh de de ke mujhe rahm use aaya āḳhir
phuul kar hī shajar-e-shauq phalā karte haiñ
dil lagāne kā mazā ḳhuub uThāyā ham ne
ik nayā roz sitam un kā sahā karte haiñ
vaar koī bhī to puurā na paḌā o qātil
zaḳhm-e-dil terī nazākat pe hañsā karte haiñ
ek din un ko rulā.egī mohabbat merī
mere rone pe jo shoḳhī se hañsā karte haiñ
sham.a ro detī hai parvāne ke jalne pe magar
vo hañsā karte haiñ ushshāq jalā karte haiñ
kabhī āñkhoñ ko badal kar to kabhī tevar se
jaur par jaur jafā par vo jafā karte haiñ
in hasīnoñ kā to andāz nirālā hai 'tabīb'
in ko jo chāhe usī se ye daġhā karte haiñ
mahfil-e-yar mein aghyar raha karte hain
ek hum hain ki judai mein jala karte hain
mushaf-e-ruKH ki tilawat mein raha karte hain
bas isi tarah se hum yaad-e-KHuda karte hain
naqsh-e-pa rah mein un ka nazar aae kyunkar
KHub-ru dida-e-ashiq pe jala karte hain
naza ka waqt jo aaya to kaha zalim ne
dekho is tarah se hum wada wafa karte hain
fitna-e-dahr hain sare qad-e-baala wale
jis taraf jate hain ek hashr bapa karte hain
chashm-e-maKHmur ki masti se hai masti apni
nargisin jam mein hum phul piya karte hain
mujh se un se jo hua karti hain baaten sar-e-bazm
shama ki tarah se aghyar jala karte hain
naza mein us ko bulaya to ye kahla bheja
chahne wale to har roz mara karte hain
dagh de de ke mujhe rahm use aaya aaKHir
phul kar hi shajar-e-shauq phala karte hain
dil lagane ka maza KHub uThaya hum ne
ek naya roz sitam un ka saha karte hain
war koi bhi to pura na paDa o qatil
zaKHm-e-dil teri nazakat pe hansa karte hain
ek din un ko rulaegi mohabbat meri
mere rone pe jo shoKHi se hansa karte hain
shama ro deti hai parwane ke jalne pe magar
wo hansa karte hain ushshaq jala karte hain
kabhi aankhon ko badal kar to kabhi tewar se
jaur par jaur jafa par wo jafa karte hain
in hasinon ka to andaz nirala hai 'tabib'
in ko jo chahe usi se ye dagha karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.