mahfil-e-zist bhi saji hai abhi
mahfil-e-zīst bhī sajī hai abhī
haisiyat dil kī markazī hai abhī
ik tamanna bujhī bujhī hai abhī
ek ḳhvāhish dabī dabī hai abhī
aur thoḌe mizāj mil jaa.eñ
ye mulāqāt sarsarī hai abhī
tere chehre pe maslahat raushan
terā lahja bhī maḳhmalī hai abhī
jhuuT kā phaT paḌegā ġhubbāra
is meñ kaafī havā bharī hai abhī
vo jo majbūriyoñ se gūñdhī ga.ī
vo hañsī mez par rakhī hai abhī
kuchh to andāza ho gayā qaa.em
tajziya garche sarsarī hai abhī
dauḌtā hai ragoñ meñ ḳhuun 'āqib'
aur ravāñ sāñsoñ kī nadī hai abhī
mahfil-e-zist bhi saji hai abhi
haisiyat dil ki markazi hai abhi
ek tamanna bujhi bujhi hai abhi
ek KHwahish dabi dabi hai abhi
aur thoDe mizaj mil jaen
ye mulaqat sarsari hai abhi
tere chehre pe maslahat raushan
tera lahja bhi maKHmali hai abhi
jhuT ka phaT paDega ghubbara
is mein kafi hawa bhari hai abhi
wo jo majburiyon se gundhi gai
wo hansi mez par rakhi hai abhi
kuchh to andaza ho gaya qaem
tajziya garche sarsari hai abhi
dauDta hai ragon mein KHun 'aqib'
aur rawan sanson ki nadi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.