mahfil mein bar bar jo hum par nazar gai
mahfil meñ baar baar jo ham par nazar ga.ī
har dil pe jaise lahr-e-qayāmat guzar ga.ī
kar ke umīd-e-zindagī jiite rahe haiñ ham
ab ki umīd-e-zindagī jaane kidhar ga.ī
milnā tumhārā jaise bahāroñ kā imbisāt
pūchhā jo merā haal to qismat sañvar ga.ī
vo kyā ḳhabar thī jis ne hameñ be-ḳhabar kiyā
vo kyā nazar thī zaḳhm-e-jigar tak utar ga.ī
kaise hue farefta ye raaz hī rahā
shāyad nigāh-e-yār baḌā kaam kar ga.ī
uljhe haiñ is tarah se ġham-e-rozgār meñ
lazzat ġham-e-firāq kī shām-o-sahar ga.ī
ai husn tere chāhne vāloñ kī ḳhair ho
ai 'ishq terī āh-o-fuġhāñ be-asar ga.ī
har dil sulag rahā hai mohabbat kī aag meñ
jaane balā-e-‘ishq bhī kis kis ke ghar ga.ī
badnām kar ga.ī hai hameñ rasm-e-dilbarī
jo bhī nazar uThī hai vo ham par Thahar ga.ī
merī kitāb-e-ġham kā bhī qissa huā tamām
is shahr-e-nā-shanās meñ vo dar-ba-dar ga.ī
'barham' gayā hai kaam se dil bhī hamāre saath
aayā ḳhayāl-e-yār to bhī aañkh bhar ga.ī
mahfil mein bar bar jo hum par nazar gai
har dil pe jaise lahr-e-qayamat guzar gai
kar ke umid-e-zindagi jite rahe hain hum
ab ki umid-e-zindagi jaane kidhar gai
milna tumhaara jaise bahaaron ka imbisat
puchha jo mera haal to qismat sanwar gai
wo kya KHabar thi jis ne hamein be-KHabar kiya
wo kya nazar thi zaKHm-e-jigar tak utar gai
kaise hue farefta ye raaz hi raha
shayad nigah-e-yar baDa kaam kar gai
uljhe hain is tarah se gham-e-rozgar mein
lazzat gham-e-firaq ki sham-o-sahar gai
ai husn tere chahne walon ki KHair ho
ai 'ishq teri aah-o-fughan be-asar gai
har dil sulag raha hai mohabbat ki aag mein
jaane bala-e-‘ishq bhi kis kis ke ghar gai
badnam kar gai hai hamein rasm-e-dilbari
jo bhi nazar uThi hai wo hum par Thahar gai
meri kitab-e-gham ka bhi qissa hua tamam
is shahr-e-na-shanas mein wo dar-ba-dar gai
'barham' gaya hai kaam se dil bhi hamare sath
aaya KHayal-e-yar to bhi aankh bhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.