mahfil mein ehtiyat se lab apne kholiye
mahfil meñ ehtiyāt se lab apne kholiye
utre jo dil meñ baat vahī baat boliye
ham dil-jaloñ se is kā sabab kuchh na pūchhiye
jī chāhā muskurā diye jī chāhā ro liye
Dar thā ki soz-e-ġham se na sho.ale bhaḌak uTheñ
ro.e haiñ is qadar ki garebāñ bhigo liye
auroñ se pūchhiye na pata lā-makān kā
jab DhūñDhnā hī Thahrā to dil meñ TaToliye
isyāñ kā daaġh merī jabīñ se na miT sakā
dāman pe jo sharāb ke dhabbe the dho liye
mahfil mein ehtiyat se lab apne kholiye
utre jo dil mein baat wahi baat boliye
hum dil-jalon se is ka sabab kuchh na puchhiye
ji chaha muskura diye ji chaha ro liye
Dar tha ki soz-e-gham se na shoale bhaDak uThen
roe hain is qadar ki gareban bhigo liye
auron se puchhiye na pata la-makan ka
jab DhunDhna hi Thahra to dil mein TaToliye
isyan ka dagh meri jabin se na miT saka
daman pe jo sharab ke dhabbe the dho liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.