mahfil mein guftugu ka bahana nahin mila
mahfil meñ guftugū kā bahāna nahīñ milā
be-nām ḳhvāhishoñ kā fasāna nahīñ milā
ham ne guzārī raat sitāroñ kī chhāñv meñ
ham ko tire nagar meñ Thikāna nahīñ milā
miTTī ke kuchh makān mujhe sar-nigūñ mile
DhūñDā magar khañDar meñ ḳhazāna nahīñ milā
vo kashtiyoñ ke ruḳh ko badalte bhī kis tarah
dariyā-e-zindagī kā dahāna nahīñ milā
kuchh is tarah jale haiñ fasādāt meñ makāñ
'mas.ūd-ja.afrī’ kā Thikāna nahīñ milā
mahfil mein guftugu ka bahana nahin mila
be-nam KHwahishon ka fasana nahin mila
hum ne guzari raat sitaron ki chhanw mein
hum ko tere nagar mein Thikana nahin mila
miTTi ke kuchh makan mujhe sar-nigun mile
DhunDa magar khanDar mein KHazana nahin mila
wo kashtiyon ke ruKH ko badalte bhi kis tarah
dariya-e-zindagi ka dahana nahin mila
kuchh is tarah jale hain fasadat mein makan
'masud-jafri’ ka Thikana nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.