mahfil mein hai phir zikr-e-bahaaran kai din se
mahfil meñ hai phir zikr-e-bahārāñ ka.ī din se
āñkhoñ meñ hai vo jān-e-gulistāñ ka.ī din se
kyā jāniye kyā baat huī un se kisī kī
dekhā hai unheñ ham ne pashemāñ ka.ī din se
ab dekhiye kyā aur dikhā.e ġham-e-daurāñ
kāñToñ se haiñ uljhe hue dāmāñ ka.ī din se
mā.il-ba-karam mujh pe koī ho gayā shāyad
qaabū se hai bāhar mirā īmāñ ka.ī din se
kyā bād-e-sabā de ga.ī paiġhām-e-bahārāñ
hāthoñ meñ hai ḳhud apnā garebāñ ka.ī din se
gulshan kī mire ḳhair ba-har-taur ho yā-rab
āñkhoñ meñ hai tasvīr-e-bayābāñ ka.ī din se
allāh rakhe 'fauq' unheñ apnī amaañ meñ
aate haiñ nazar ḳhvāb-e-pareshāñ ka.ī din se
mahfil mein hai phir zikr-e-bahaaran kai din se
aankhon mein hai wo jaan-e-gulistan kai din se
kya jaaniye kya baat hui un se kisi ki
dekha hai unhen hum ne pasheman kai din se
ab dekhiye kya aur dikhae gham-e-dauran
kanTon se hain uljhe hue daman kai din se
mail-ba-karam mujh pe koi ho gaya shayad
qabu se hai bahar mera iman kai din se
kya baad-e-saba de gai paigham-e-bahaaran
hathon mein hai KHud apna gareban kai din se
gulshan ki mere KHair ba-har-taur ho ya-rab
aankhon mein hai taswir-e-bayaban kai din se
allah rakhe 'fauq' unhen apni aman mein
aate hain nazar KHwab-e-pareshan kai din se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.