mahfil mein maine ghaur se dekha tha der tak
mahfil meñ maiñ ne ġhaur se dekhā thā der tak
ik shaḳhs merī āñkhoñ meñ Thahrā thā der tak
phir yuuñ huā ki sāmne mere thā vo khaḌā
jis ko tasavvurāt meñ sochā thā der tak
mujh meñ zarūr baat koī hai isī liye
mahfil meñ mere baa'd bhī charchā thā der tak
ab haal ye huā hai koī pūchhtā nahīñ
koī hamārī raah ko taktā thā der tak
mujh ko to yaad aatā nahīñ tum hī kuchh kaho
vo kaun thā jo paas meñ baiThā thā der tak
achchhe muāmlāt meñ har-sū jahān meñ
charchā hamāre des kā hotā thā der tak
'rahbar' vatan meñ chhā.ī hai vīrānī aaj kyoñ
kal tak to apne des meñ mela thā der tak
mahfil mein main ne ghaur se dekha tha der tak
ek shaKHs meri aankhon mein Thahra tha der tak
phir yun hua ki samne mere tha wo khaDa
jis ko tasawwuraat mein socha tha der tak
mujh mein zarur baat koi hai isi liye
mahfil mein mere ba'd bhi charcha tha der tak
ab haal ye hua hai koi puchhta nahin
koi hamari rah ko takta tha der tak
mujh ko to yaad aata nahin tum hi kuchh kaho
wo kaun tha jo pas mein baiTha tha der tak
achchhe muamlat mein har-su jahan mein
charcha hamare des ka hota tha der tak
'rahbar' watan mein chhai hai virani aaj kyon
kal tak to apne des mein mela tha der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.