mahfil mein tere kaun tha jo shadman na tha
mahfil mein tere kaun tha jo shadman na tha
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
mahfil meñ tere kaun thā jo shādmāñ na thā
sab the sharīk-e-bazm magar maiñ vahāñ na thā
zulfoñ ke dhyān se thā añdherā tamām shab
tārīk is qadar to savād-e-jahāñ na thā
bālā-e-bām chāñd huā kyoñ nahīñ tulūa
ai rashk-e-mah vo auj meñ kyā āsmāñ na thā
pahuñchā falak pe nāla-e-ātish-fashāñ mirā
kyā barq-e-sho.ala-rez thī jis meñ dhuāñ na thā
māmūr tere nuur se har ek zarra hai
dair-o-haram meñ jalva tirā kab ayaañ na thā
farmāyā tū ne jabki alastu-birabbikum
juz zāt-e-pāk koī vahāñ aur yahāñ na thā
kis ne balā kahā thā balā meñ jo phañs gayā
lekin vahāñ to koī tirā ham-zabāñ na thā
lākhoñ hasīn dekhe haiñ ham ne jahān meñ
tujh sā hasīn koī bhī jān-e-jahāñ na thā
yūsuf se koī chaah thā ḳhālī na dahr meñ
andhe hamīñ the koī bhī andhā kuaañ na thā
hāsid ko rashk hai to isī ek baat kā
bijlī jahāñ girī thī mirā āshiyāñ na thā
apnā patā lagā to faqat terī zaat se
varna jahāñ meñ aur koī be-nishāñ na thā
terī hī ek zaat hai donoñ jahān meñ
poshīda koī ġhair yahāñ darmiyāñ na thā
saa.e kī tarah rahtā thā har dam maiñ tere saath
tujh sā rafīq koī bhī ai jān-e-jāñ na thā
bulbul kā āshiyāñ na bachā dast-burd se
kis roz be-zabānoñ pe jaur-e-ḳhizāñ na thā
jām-e-sharāb maiñ ne pilāyā hai shaiḳh ko
qaazī se pūchho kyā vo mirā mehmāñ na thā
ai 'shād' har balā se usī ne bachā liyā
aisā nigāhbān koī pāsbāñ na thā
mahfil mein tere kaun tha jo shadman na tha
sab the sharik-e-bazm magar main wahan na tha
zulfon ke dhyan se tha andhera tamam shab
tarik is qadar to sawad-e-jahan na tha
baala-e-baam chand hua kyon nahin tulua
ai rashk-e-mah wo auj mein kya aasman na tha
pahuncha falak pe nala-e-atish-fashan mera
kya barq-e-shoala-rez thi jis mein dhuan na tha
mamur tere nur se har ek zarra hai
dair-o-haram mein jalwa tera kab ayan na tha
farmaya tu ne jabki alastu-birabbikum
juz zat-e-pak koi wahan aur yahan na tha
kis ne bala kaha tha bala mein jo phans gaya
lekin wahan to koi tera ham-zaban na tha
lakhon hasin dekhe hain hum ne jahan mein
tujh sa hasin koi bhi jaan-e-jahan na tha
yusuf se koi chah tha KHali na dahr mein
andhe hamin the koi bhi andha kuan na tha
hasid ko rashk hai to isi ek baat ka
bijli jahan giri thi mera aashiyan na tha
apna pata laga to faqat teri zat se
warna jahan mein aur koi be-nishan na tha
teri hi ek zat hai donon jahan mein
poshida koi ghair yahan darmiyan na tha
sae ki tarah rahta tha har dam main tere sath
tujh sa rafiq koi bhi ai jaan-e-jaan na tha
bulbul ka aashiyan na bacha dast-burd se
kis roz be-zabanon pe jaur-e-KHizan na tha
jam-e-sharab main ne pilaya hai shaiKH ko
qazi se puchho kya wo mera mehman na tha
ai 'shad' har bala se usi ne bacha liya
aisa nigahban koi pasban na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.