mahfil mein to bas wo saj raha hai
mahfil meñ to bas vo saj rahā hai
apne ko jo kuchh samajh rahā hai
dastak tire haath kī hai lekin
darvāza havā se baj rahā hai
niklā thā maiñ ghar se muñh-añdhere
ab raat kā ek baj rahā hai
phir ḳhud ko dikhā.ī de gayā huuñ
phir soch kā taar ulajh rahā hai
is daur kā hai vahī payambar
jo apne huqūq taj rahā hai
kyā ho jo kahīñ baras paḌe vo
ab tak jo faqat garaj rahā hai
itnā bhī nahīñ huuñ maiñ to 'rāshid'
jitnā mujhe vo samajh rahā hai
mahfil mein to bas wo saj raha hai
apne ko jo kuchh samajh raha hai
dastak tere hath ki hai lekin
darwaza hawa se baj raha hai
nikla tha main ghar se munh-andhere
ab raat ka ek baj raha hai
phir KHud ko dikhai de gaya hun
phir soch ka tar ulajh raha hai
is daur ka hai wahi payambar
jo apne huquq taj raha hai
kya ho jo kahin baras paDe wo
ab tak jo faqat garaj raha hai
itna bhi nahin hun main to 'rashid'
jitna mujhe wo samajh raha hai
- Book : Monthly Usloob (Pg. 388)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.