mahfil sajī sajā.ī hai
bhiiḌ hai yā tanhā.ī hai
patjhaḌ meñ ham se milne ko
phāgun kī rut kyoñ aa.ī hai
dil kā haal sunā.eñ kyā
jaan laboñ par aa.ī hai
kaise us ko chhū kar dekheñ
vo ḳhushbū hai parchhā.ī hai
ik kaalā jaadū zulfoñ kā
aur pāgal purvā.ī hai
phūloñ sī bāteñ kartā hai
shā'ir hai saudā.ī hai
jaane kaise guzregā din
mar kar raat bitā.ī hai
mahfil saji sajai hai
bhiD hai ya tanhai hai
patjhaD mein hum se milne ko
phagun ki rut kyon aai hai
dil ka haal sunaen kya
jaan labon par aai hai
kaise us ko chhu kar dekhen
wo KHushbu hai parchhai hai
ek kala jadu zulfon ka
aur pagal purwai hai
phulon si baaten karta hai
sha'ir hai saudai hai
jaane kaise guzrega din
mar kar raat bitai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.