mahfil se aaKHir uski nikalwae jaenge
mahfil se āḳhir us kī nikalvā.e jā.eñge
sheḳhī se jā to baiThe the ik baar anqarīb
vahshat bhare hue mire tevar ko dekh kar
aatā nahīñ hai ab koī ġham-ḳhvār anqarīb
vo din ga.e junūñ ke mudāvā ke vāste
do-chār roz baiThe to do-chār anqarīb
jins-e-vafā kī qadr gar iz.hār kījiye
kahtā hai mujh ko yaañ se hai bāzār anqarīb
ai bad-salīqa ye bhī qarīna hai bazm kā
ushshāq duur baiTheñ aur aġhyār anqarīb
le apne āshiyāñ kī ḳhabar jald jibra.īl
pahūñchī hamārī āh-e-sharar-bār anqarīb
duurī 'shahīdī' apnī samajh kā qusūr thā
hai shah-rag-e-gulū se bhī yaañ yaar anqarīb
mahfil se aaKHir us ki nikalwae jaenge
sheKHi se ja to baiThe the ek bar anqarib
wahshat bhare hue mere tewar ko dekh kar
aata nahin hai ab koi gham-KHwar anqarib
wo din gae junun ke mudawa ke waste
do-chaar roz baiThe to do-chaar anqarib
jins-e-wafa ki qadr gar izhaar kijiye
kahta hai mujh ko yan se hai bazar anqarib
ai bad-saliqa ye bhi qarina hai bazm ka
ushshaq dur baiThen aur aghyar anqarib
le apne aashiyan ki KHabar jald jibrail
pahunchi hamari aah-e-sharar-bar anqarib
duri 'shahidi' apni samajh ka qusur tha
hai shah-rag-e-gulu se bhi yan yar anqarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.