mahine tis ke iktis ke hain
mahīne tiis ke iktīs ke haiñ
hamāre paas paise biis ke haiñ
chabā Daalā hamārī hasratoñ ko
zamāne meñ hunar battīs ke haiñ
kiye jā.eñge hal ye kis sadī meñ
jo saare mas.ale ikkīs ke haiñ
jo ḳhud ko biis kā hī mānte haiñ
hamāre sāmne unnīs ke haiñ
zarā bantī nahīñ chhoToñ se 'sājid'
hamāre āñkḌe chhattīs ke haiñ
mahine tis ke iktis ke hain
hamare pas paise bis ke hain
chaba Dala hamari hasraton ko
zamane mein hunar battis ke hain
kiye jaenge hal ye kis sadi mein
jo sare masale ikkis ke hain
jo KHud ko bis ka hi mante hain
hamare samne unnis ke hain
zara banti nahin chhoTon se 'sajid'
hamare aankDe chhattis ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.