mahjur-e-har-anjuman hain hum log
mahjūr-e-har-anjuman haiñ ham log
apne meñ jilā-vatan haiñ ham log
jo sabza-o-barg se ho mahrūm
vo shabnam-e-be-kafan haiñ ham log
ai apnī hī ḳhalvatoñ meñ mahbūs
shāyad tirī anjuman haiñ ham log
ḳhud apne shu.ūr-e-jāñ se malbūs
be-paikar-o-pairhan haiñ ham log
ai ālam-e-rañg rañg taḳhlīq
āzurda jān-o-tan haiñ ham log
ḳhud apne vajūd meñ taqayyud
pā-basta be-rasan haiñ ham log
har ahd kī shahriyat se mahrūm
har shahr meñ be-vatan haiñ ham log
mahjur-e-har-anjuman hain hum log
apne mein jila-watan hain hum log
jo sabza-o-barg se ho mahrum
wo shabnam-e-be-kafan hain hum log
ai apni hi KHalwaton mein mahbus
shayad teri anjuman hain hum log
KHud apne shuur-e-jaan se malbus
be-paikar-o-pairhan hain hum log
ai aalam-e-rang rang taKHliq
aazurda jaan-o-tan hain hum log
KHud apne wajud mein taqayyud
pa-basta be-rasan hain hum log
har ahd ki shahriyat se mahrum
har shahr mein be-watan hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.