mahka hai zaKHm zaKHm hawaen hain manchali
mahkā hai zaḳhm zaḳhm havā.eñ haiñ manchalī
barsā hai terī yaad kā sāvan galī galī
dīvār-o-dar to raah meñ haa.il na ho sake
aage baḌhūñ to paañv pakaḌtī hai bekalī
ik māhtāb thā ki pighaltā chalā gayā
ik sham.a thī ki saath mire raat bhar jalī
vo raushnī jo tū ne hameñ dī thī din Dhale
vo raushnī bhī ham ne luTā dī galī galī
ye aur baat ham hī ujāloñ se duur haiñ
varna hamīñ ne terī jabīñ par shafaq malī
saa.e kā ik naqāb sā ruḳh par bikhar gayā
yaaro sahar jo us ke garebān se Dhalī
shoa.la-fishāñ hai shiddat-e-idrāk se badan
ik karb ke alaav se dīvāngī bhalī
lau de uThī haiñ biite dinoñ kī rifāqateñ
bujhte sharar bhī aag bane vo havā chalī
mahka hai zaKHm zaKHm hawaen hain manchali
barsa hai teri yaad ka sawan gali gali
diwar-o-dar to rah mein hail na ho sake
aage baDhun to panw pakaDti hai bekali
ek mahtab tha ki pighalta chala gaya
ek shama thi ki sath mere raat bhar jali
wo raushni jo tu ne hamein di thi din Dhale
wo raushni bhi hum ne luTa di gali gali
ye aur baat hum hi ujalon se dur hain
warna hamin ne teri jabin par shafaq mali
sae ka ek naqab sa ruKH par bikhar gaya
yaro sahar jo us ke gareban se Dhali
shoala-fishan hai shiddat-e-idrak se badan
ek karb ke alaw se diwangi bhali
lau de uThi hain bite dinon ki rifaqaten
bujhte sharar bhi aag bane wo hawa chali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.