mahke mahke hue ayyam se wabasta hain
mahke mahke hue ayyām se vābasta haiñ
chand lamhe kisī gulfām se vābasta haiñ
kyoñ na tārīkiyāñ gahrī hoñ shab-e-furqat kī
jab tirī zulf-e-siyah-fām se vābasta haiñ
ye hasīñ ḳhvāb ye ummīd-o-sukūñ ke lamhe
un ke bheje hue paiġhām se vābasta haiñ
har na.ī sub.h unheñ aa ke miTā jaatī hai
chand yādeñ jo kisī shaam se vābasta haiñ
jāntā huuñ ki tire saath guzāre auqāt
kisī tohmat kisī dushnām se vābasta haiñ
ab jo kartā hai ye bahkī huī bāteñ 'afzal'
hoshiyārī meñ piye jaam se vābasta haiñ
mahke mahke hue ayyam se wabasta hain
chand lamhe kisi gulfam se wabasta hain
kyon na tarikiyan gahri hon shab-e-furqat ki
jab teri zulf-e-siyah-fam se wabasta hain
ye hasin KHwab ye ummid-o-sukun ke lamhe
un ke bheje hue paigham se wabasta hain
har nai subh unhen aa ke miTa jati hai
chand yaaden jo kisi sham se wabasta hain
jaanta hun ki tere sath guzare auqat
kisi tohmat kisi dushnam se wabasta hain
ab jo karta hai ye bahki hui baaten 'afzal'
hoshiyari mein piye jam se wabasta hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.