mahkum sahi phir bhi ilaqa nahin dete
mahkum sahi phir bhi ilaqa nahin dete
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
mahkūm sahī phir bhī ilāqa nahīñ dete
ham jaan to de sakte haiñ qabza nahīñ dete
apne hī bharose pe safar karnā ki ye log
manzil kā to batlāte haiñ rasta nahīñ dete
kam-zarf makīnoñ se ulajhte nahīñ saa.il
kuchh log zarūrat se ziyāda nahīñ dete
dariyā kabhī fitrat ke munāfī nahīñ chalte
sahrā kisī anjān ko saaya nahīñ dete
ham hijr ke māroñ ko bhalā kaise dilāse
bujhtī huī qindīl ko pursa nahīñ dete
har ek pe khulte nahīñ asrār-e-mohabbat
har shaḳhs ko dil jaisā ḳhazāna nahīñ dete
thūkā huā aflāk kā aa jaatā hai muñh par
shahbāz ko parvāz kā ta.ana nahīñ dete
ma.alūm hai tāsīr tire naam kī 'jāmī'
ham yūñhī to har jā pe havāla nahīñ dete
mahkum sahi phir bhi ilaqa nahin dete
hum jaan to de sakte hain qabza nahin dete
apne hi bharose pe safar karna ki ye log
manzil ka to batlate hain rasta nahin dete
kam-zarf makinon se ulajhte nahin sail
kuchh log zarurat se ziyaada nahin dete
dariya kabhi fitrat ke munafi nahin chalte
sahra kisi anjaan ko saya nahin dete
hum hijr ke maron ko bhala kaise dilase
bujhti hui qindil ko pursa nahin dete
har ek pe khulte nahin asrar-e-mohabbat
har shaKHs ko dil jaisa KHazana nahin dete
thuka hua aflak ka aa jata hai munh par
shahbaz ko parwaz ka tana nahin dete
malum hai tasir tere nam ki 'jami'
hum yunhi to har ja pe hawala nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.