mahrum-e-asar aah bhi hai aur dua bhi
mahrūm-e-asar aah bhī hai aur duā bhī
suntā nahīñ nākām-e-mohabbat kī ḳhudā bhī
ne.amat hai mire haq meñ mirā dard-e-mohabbat
uThtā hai jo pahlū meñ to aatā hai mazā bhī
ab Thokareñ dar dar kī na khā ai dil-e-nādāñ
miltī hai kahīñ dard-e-mohabbat kī davā bhī
tanhā tirī shoḳhī hī nahīñ dil kī talabgār
kartī hai taqāzā yahī dar-parda hayā bhī
jhuknā hī paḌā barsar-e-mahfil hameñ āḳhir
pīchhe na haTe baat se apnī vo zarā bhī
maqsūd nahīñ is se hameñ terī shikāyat
detā hai mazā josh-e-mohabbat meñ gilā bhī
kuchh faiz mohabbat se uThā.e to haiñ lekin
is jurm kī paa.ī hai bahut ham ne sazā bhī
kartā huuñ tire milne kī din raat duā.eñ
vābasta tirī yaad se hai yād-e-ḳhudā bhī
ābād rahā ḳhāna-e-dil ishq ke dam se
go husn ke hāthoñ vo ka.ī baar luTā bhī
chamkī jo sar-e-tūr tū ai barq-e-tajallī
maujūd vahāñ dekhne vaalā koī thā bhī
'sāhir' ye hai jī meñ ki piyeñ aur pilā.eñ
kartī hai taqāzā yahī sāvan kī ghaTā bhī
mahrum-e-asar aah bhi hai aur dua bhi
sunta nahin nakaam-e-mohabbat ki KHuda bhi
neamat hai mere haq mein mera dard-e-mohabbat
uThta hai jo pahlu mein to aata hai maza bhi
ab Thokaren dar dar ki na kha ai dil-e-nadan
milti hai kahin dard-e-mohabbat ki dawa bhi
tanha teri shoKHi hi nahin dil ki talabgar
karti hai taqaza yahi dar-parda haya bhi
jhukna hi paDa barsar-e-mahfil hamein aaKHir
pichhe na haTe baat se apni wo zara bhi
maqsud nahin is se hamein teri shikayat
deta hai maza josh-e-mohabbat mein gila bhi
kuchh faiz mohabbat se uThae to hain lekin
is jurm ki pai hai bahut hum ne saza bhi
karta hun tere milne ki din raat duaen
wabasta teri yaad se hai yaad-e-KHuda bhi
aabaad raha KHana-e-dil ishq ke dam se
go husn ke hathon wo kai bar luTa bhi
chamki jo sar-e-tur tu ai barq-e-tajalli
maujud wahan dekhne wala koi tha bhi
'sahir' ye hai ji mein ki piyen aur pilaen
karti hai taqaza yahi sawan ki ghaTa bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.