mahrumi-e-hayat ka hal DhunDte rahe
mahrūmī-e-hayāt kā hal DhūñDte rahe
ya.anī adā-e-husn-e-amal DhūñDte rahe
fitrat ke ḳhush-gavār manāzir kī chhāñv meñ
ham terī qurbatoñ kā badal DhūñDte rahe
ham jhiil jhiil uḌte rahe hans kī tarah
qismat meñ jo na thā vo kañval DhūñDte rahe
vāraftagī-e-shauq kā aalam ajiib thā
ham tum ko saare shahr meñ kal DhūñDte rahe
aksar vo ham-kalām rahe der tak magar
ham arz-e-mudda.ā kā mahal DhūñDte rahe
yuuñ terī aarzū meñ guzārī hai zindagī
sahrā meñ jaise tāj-mahal DhūñDte rahe
ai 'shān' aarzū kī harī pattiyoñ ke biich
jo shāḳh par nahīñ thā vo phal DhūñDte rahe
mahrumi-e-hayat ka hal DhunDte rahe
yani ada-e-husn-e-amal DhunDte rahe
fitrat ke KHush-gawar manazir ki chhanw mein
hum teri qurbaton ka badal DhunDte rahe
hum jhil jhil uDte rahe hans ki tarah
qismat mein jo na tha wo kanwal DhunDte rahe
waraftagi-e-shauq ka aalam ajib tha
hum tum ko sare shahr mein kal DhunDte rahe
aksar wo ham-kalam rahe der tak magar
hum arz-e-muddaa ka mahal DhunDte rahe
yun teri aarzu mein guzari hai zindagi
sahra mein jaise taj-mahal DhunDte rahe
ai 'shan' aarzu ki hari pattiyon ke bich
jo shaKH par nahin tha wo phal DhunDte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.