mahrumi-e-hayat kahin hai kahin nahin
mahrūmī-e-hayāt kahīñ hai kahīñ nahīñ
ġham kī udaas raat kahīñ hai kahīñ nahīñ
roz-e-azal se marhala-e-marg-o-zīst hai
apnī hī ek zaat kahīñ hai kahīñ nahīñ
afsurdagī-o-zinda-dilī ke hujūm meñ
ye puurī kā.enāt kahīñ hai kahīñ nahīñ
pesh-e-nazar hai vus.at-e-arz-o-samā magar
qaid-e-ta.ayyunāt kahīñ hai kahīñ nahīñ
har-chand dil vajūd-e-vafā par hai mutma.in
lekin vo ek baat kahīñ hai kahīñ nahīñ
'ahmar' hai yuuñ to sab pe kisī kī nazar magar
vo chashm-e-iltifāt kahīñ hai kahīñ nahīñ
mahrumi-e-hayat kahin hai kahin nahin
gham ki udas raat kahin hai kahin nahin
roz-e-azal se marhala-e-marg-o-zist hai
apni hi ek zat kahin hai kahin nahin
afsurdagi-o-zinda-dili ke hujum mein
ye puri kaenat kahin hai kahin nahin
pesh-e-nazar hai wusat-e-arz-o-sama magar
qaid-e-tayyunat kahin hai kahin nahin
har-chand dil wajud-e-wafa par hai mutmain
lekin wo ek baat kahin hai kahin nahin
'ahmar' hai yun to sab pe kisi ki nazar magar
wo chashm-e-iltifat kahin hai kahin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.