mahrumiyat hai karb hai hasrat hai aur hum
mahrūmiyat hai karb hai hasrat hai aur ham
is shahr meñ muqīm qayāmat hai aur ham
barsoñ guzar ga.e haiñ ḳhatā ham ne kī thī ek
tanhā.iyāñ haiñ ashk-e-nadāmat hai aur ham
daur-e-ḳhirad meñ fikr hī apnī asaas hai
māyūsiyoñ kī god hai zulmat hai aur ham
ghar meñ qiyām kartī hai vīrānī-e-hayāt
bāhar hamāre zabt kī shohrat hai aur ham
āġhāz kab huā thā safar kā nahīñ pata
gard-e-rah-e-junūñ hai sa.ūbat hai aur ham
'jāmī' hudūd-e-shām-o-sahar meñ haiñ jab talak
logoñ kī phabtiyāñ haiñ hiqārat hai aur ham
mahrumiyat hai karb hai hasrat hai aur hum
is shahr mein muqim qayamat hai aur hum
barson guzar gae hain KHata hum ne ki thi ek
tanhaiyan hain ashk-e-nadamat hai aur hum
daur-e-KHirad mein fikr hi apni asas hai
mayusiyon ki god hai zulmat hai aur hum
ghar mein qiyam karti hai virani-e-hayat
bahar hamare zabt ki shohrat hai aur hum
aaghaz kab hua tha safar ka nahin pata
gard-e-rah-e-junun hai saubat hai aur hum
'jami' hudud-e-sham-o-sahar mein hain jab talak
logon ki phabtiyan hain hiqarat hai aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.