mahrumiyon ka ek sabab josh-e-talab KHud bhi to hai
mahrūmiyoñ kā ik sabab josh-e-talab ḳhud bhī to hai
sho.ale pe lapkā is tarah jaise koī gul hī to hai
kis vahm kis chakkar meñ ho ḳhud-bīñ bagūloñ dam to lo
siine meñ dil ho bhī kahīñ maanā ki betābī to hai
sūjhe magar kyā sham.a ko apne ujāle ke sivā
har chand zauq-e-dīd kā maidān tārīkī to hai
jhāñkā hai maiñ ne saaz meñ parda haTā kar saaz kā
naġhma nazar aa jā.egā ye aas bejā bhī to hai
har baaġh meñ uḌtā phirūñ har shāḳh par girtā rahūñ
har gul se ḳhushbū chuus luuñ ab ye merī zid hī to hai
hai hai vo shīrīñ jhalkiyāñ kab tak magar sar phoḌiye
dīvār phir dīvār hai hālāñki shīshe kī to hai
phir bhī ye dhun hai mauj se dariyā ko apne naap luuñ
paimāna merā hai ġhalat mujh ko ḳhabar itnī to hai
piitā rahā kyā umr bhar pī kar tamannā kā lahū
kuchh din se merī āstīñ kuchh zer-e-lab kahtī to hai
hotī kahāñ tak mustarad be-bākī-e-dast-e-sabā
khulne lagā band-e-hayā āḳhir shagūfa hī to hai
ta.amīr āḳhir kar liyā hasrat ne ḳhvāboñ kā haram
shaġhl-e-gunah ke vāste ye aaḌ bhī kaafī to hai
mashq-e-ḳhud-āshāmī karūñ sairāb honā siikh luuñ
labrez ḳhud hai tishnagī sāġhar mirā ḳhālī to hai
ab sulh kar bhī leñ 'muhib' tanhā.iyoñ se vahshateñ
vo merā saaya hī sahī ik shai nazar aa.ī to hai
mahrumiyon ka ek sabab josh-e-talab KHud bhi to hai
shoale pe lapka is tarah jaise koi gul hi to hai
kis wahm kis chakkar mein ho KHud-bin bagulon dam to lo
sine mein dil ho bhi kahin mana ki betabi to hai
sujhe magar kya shama ko apne ujale ke siwa
har chand zauq-e-did ka maidan tariki to hai
jhanka hai main ne saz mein parda haTa kar saz ka
naghma nazar aa jaega ye aas beja bhi to hai
har bagh mein uDta phirun har shaKH par girta rahun
har gul se KHushbu chus lun ab ye meri zid hi to hai
hai hai wo shirin jhalkiyan kab tak magar sar phoDiye
diwar phir diwar hai haalanki shishe ki to hai
phir bhi ye dhun hai mauj se dariya ko apne nap lun
paimana mera hai ghalat mujh ko KHabar itni to hai
pita raha kya umr bhar pi kar tamanna ka lahu
kuchh din se meri aastin kuchh zer-e-lab kahti to hai
hoti kahan tak mustarad be-baki-e-dast-e-saba
khulne laga band-e-haya aaKHir shagufa hi to hai
tamir aaKHir kar liya hasrat ne KHwabon ka haram
shaghl-e-gunah ke waste ye aaD bhi kafi to hai
mashq-e-KHud-ashami karun sairab hona sikh lun
labrez KHud hai tishnagi saghar mera KHali to hai
ab sulh kar bhi len 'muhib' tanhaiyon se wahshaten
wo mera saya hi sahi ek shai nazar aai to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.