mahrumiyon ka KHauf nahin hai zara mujhe
mahrūmiyoñ kā ḳhauf nahīñ hai zarā mujhe
pahchāntī hai shahr kī āb-o-havā mujhe
ik umr is safar meñ guzarne ke bāvajūd
kyoñ ajnabī sā lagtā hai har rāsta mujhe
bejā anā tabāhī kā kirdār ban ga.ī
ḳhud-sāḳhta ġhurūr ne rusvā kiyā mujhe
kotāhiyoñ kā daḳhl hai merī shikast meñ
nākāmiyoñ ne raaz ye samjhā diyā mujhe
har chand sāmne thī mire manzil-e-yaqīñ
lekin ġhalat qayās ne bhaTkā diyā mujhe
ab saarā shahr merā ḳharīdār ban gayā
itnā mire ḳhulūs ne sastā kiyā mujhe
likh dī amīr-e-shahr ne dastūr meñ ye baat
mujrim ho koī aur milegī sazā mujhe
hone lage the mujh se gurezāñ tamām log
ghabrā ke toḌnā hī paḌā aa.ina mujhe
yuuñ to 'sirāj' us kī mohabbat meñ hai fareb
lekin usī nigāh ne achchhā kiyā mujhe
mahrumiyon ka KHauf nahin hai zara mujhe
pahchanti hai shahr ki aab-o-hawa mujhe
ek umr is safar mein guzarne ke bawajud
kyon ajnabi sa lagta hai har rasta mujhe
beja ana tabahi ka kirdar ban gai
KHud-saKHta ghurur ne ruswa kiya mujhe
kotahiyon ka daKHl hai meri shikast mein
nakaamiyon ne raaz ye samjha diya mujhe
har chand samne thi mere manzil-e-yaqin
lekin ghalat qayas ne bhaTka diya mujhe
ab sara shahr mera KHaridar ban gaya
itna mere KHulus ne sasta kiya mujhe
likh di amir-e-shahr ne dastur mein ye baat
mujrim ho koi aur milegi saza mujhe
hone lage the mujh se gurezan tamam log
ghabra ke toDna hi paDa aaina mujhe
yun to 'siraj' us ki mohabbat mein hai fareb
lekin usi nigah ne achchha kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.