mahrumiyon ka mujhko jo aadi bana diya
mahrūmiyoñ kā mujh ko jo aadī banā diyā
maiñ pūchhtā huuñ tujh se diyā bhī to kyā diyā
haañ ai hujūm-e-ashk ye achchhā nahīñ huā
tū ne hamāre zabt kā rutba ghaTā diyā
kaise amaañ milegī hameñ tez dhuup se
sūraj ne har daraḳht kā saaya jalā diyā
ik ajnabī kī baat meñ jaadū kā thā asar
patthar diloñ meñ dard-e-mohabbat jagā diyā
jab apne saath saath thā ḳhush-hāl thā bahut
ḳhud se bichhaḌ ke ḳhud ko gadāgar banā diyā
kal raat tere va.ade kā bhī khul gayā bharam
zaḳhmoñ ko hañste dekh ke maiñ muskurā diyā
rañgīnī-e-bahār ke ham muntazir haiñ kyuuñ
bād-e-ḳhizāñ ne rañg-e-gulistāñ uḌā diyā
dil kā charāġh ḳhud hī jalāyā kabhī 'sadaf'
aur ḳhud hī us charāġh ko āḳhir bujhā diyā
mahrumiyon ka mujh ko jo aadi bana diya
main puchhta hun tujh se diya bhi to kya diya
han ai hujum-e-ashk ye achchha nahin hua
tu ne hamare zabt ka rutba ghaTa diya
kaise aman milegi hamein tez dhup se
suraj ne har daraKHt ka saya jala diya
ek ajnabi ki baat mein jadu ka tha asar
patthar dilon mein dard-e-mohabbat jaga diya
jab apne sath sath tha KHush-haal tha bahut
KHud se bichhaD ke KHud ko gadagar bana diya
kal raat tere wade ka bhi khul gaya bharam
zaKHmon ko hanste dekh ke main muskura diya
rangini-e-bahaar ke hum muntazir hain kyun
baad-e-KHizan ne rang-e-gulistan uDa diya
dil ka charagh KHud hi jalaya kabhi 'sadaf'
aur KHud hi us charagh ko aaKHir bujha diya
- Book : Badal Gai Koi Shai (Pg. 77)
- Author : Dr. Mushtaque Sadaf
- Publication : Swaraj Prakashan, New Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.