mahshar-e-ummid pahle dil mein paida kijiye
mahshar-e-ummīd pahle dil meñ paidā kījiye
us kā jalva dekhne kī phir tamanna kījiye
ik nayā 'ālam ba-qadr-e-shauq paidā kījiye
har nazar ko husn kī mahv-e-tamāshā kījiye
baḌhte baḌhte ho ga.ī vahshat muhīt-e-kā.enāt
lutf to jab hai ki har zarre ko sahrā kījiye
chāhtā hai vus'ateñ un kā fareb-e-iltifāt
dil ke har goshe meñ paidā ek duniyā kījiye
yuuñ niyāz-e-'ishq meñ ho jaa.e takmīl-e-vafā
āstān-e-nāz ke zarroñ ko sajda kījiye
jalva-e-gul meñ dikhāte haiñ tajallī husn kī
dekhne vāloñ se kahte haiñ ki dekhā kījiye
jhuum kar maiḳhāne pe chhā.ī ghaTā hai ai 'zabīh'
toḌ kar ab tauba shaġhl-e-jām-o-mīnā kījiye
mahshar-e-ummid pahle dil mein paida kijiye
us ka jalwa dekhne ki phir tamanna kijiye
ek naya 'alam ba-qadr-e-shauq paida kijiye
har nazar ko husn ki mahw-e-tamasha kijiye
baDhte baDhte ho gai wahshat muhit-e-kaenat
lutf to jab hai ki har zarre ko sahra kijiye
chahta hai wus'aten un ka fareb-e-iltifat
dil ke har goshe mein paida ek duniya kijiye
yun niyaz-e-'ishq mein ho jae takmil-e-wafa
aastan-e-naz ke zarron ko sajda kijiye
jalwa-e-gul mein dikhate hain tajalli husn ki
dekhne walon se kahte hain ki dekha kijiye
jhum kar maiKHane pe chhai ghaTa hai ai 'zabih'
toD kar ab tauba shaghl-e-jam-o-mina kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.