mahshar ka etibar hua hai kabhi kabhi
mahshar kā e'tibār huā hai kabhī kabhī
be-parda husn-e-yār huā hai kabhī kabhī
raqsāñ jamāl-e-yār huā hai kabhī kabhī
parda meñ intishār huā hai kabhī kabhī
pahuñchī hai ḳhāk-e-āshiq-e-barbād arsh par
ūñchā agar ġhubār huā hai kabhī kabhī
zāhid tavāf karte haiñ us āstāñ kā ham
ka.abe meñ jo shumār huā hai kabhī kabhī
paimāñ-shikan ke va.ade ke hamrāh ai ajal
terā bhī intizār huā hai kabhī kabhī
ik sajda vo bhī be-ḳhudī-e-iztirāb meñ
us āstāñ pe baar huā hai kabhī kabhī
dāmān-e-tañg-o-josh-e-bahārāñ ko dekh kar
andāza-e-bahār huā hai kabhī kabhī
vo ḳhud hī raaz ban gayā duniyā ke vāste
jo us kā rāzdār huā hai kabhī kabhī
jaise vo aa.e baiThe bhī uTh kar chale ga.e
is darja e'tibār huā hai kabhī kabhī
vahdat parastiyoñ se bhī 'afqar' ḳhudā gavāh
barham mizāj-e-yār huā hai kabhī kabhī
mahshar ka e'tibar hua hai kabhi kabhi
be-parda husn-e-yar hua hai kabhi kabhi
raqsan jamal-e-yar hua hai kabhi kabhi
parda mein intishaar hua hai kabhi kabhi
pahunchi hai KHak-e-ashiq-e-barbaad arsh par
uncha agar ghubar hua hai kabhi kabhi
zahid tawaf karte hain us aastan ka hum
kabe mein jo shumar hua hai kabhi kabhi
paiman-shikan ke wade ke hamrah ai ajal
tera bhi intizar hua hai kabhi kabhi
ek sajda wo bhi be-KHudi-e-iztirab mein
us aastan pe bar hua hai kabhi kabhi
daman-e-tang-o-josh-e-bahaaran ko dekh kar
andaza-e-bahaar hua hai kabhi kabhi
wo KHud hi raaz ban gaya duniya ke waste
jo us ka raazdar hua hai kabhi kabhi
jaise wo aae baiThe bhi uTh kar chale gae
is darja e'tibar hua hai kabhi kabhi
wahdat parastiyon se bhi 'afqar' KHuda gawah
barham mizaj-e-yar hua hai kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.