mahshar mein haal dil ka KHuda ko sunaenge
mahshar meñ haal dil kā ḳhudā ko sunā.eñge
chup-chāp us ke baa'd jahannum meñ jā.eñge
sajde kī jab kahīñ bhī tamanna huī hameñ
har baar terā naqsh-e-kaf-e-pā banā.eñge
sochā na thā ki pahlū se lag kar raqīb ke
is naaz aur adā se vo mahfil meñ ā.eñge
mehñdī ko pīsne kī vo zahmat kareñge kyoñ
hāthoñ pe mere ḳhuun kī mehñdī rachāeñge
ik roz ghar se nikleñge merī talāsh meñ
afsos par vo merā nishāñ tak na pā.eñge
ghūmegī ye zamīn bhī ulTī isī ke saath
kuuze ko rakh ke chaak pe aisā ghumā.eñge
mastī meñ jo ye nāchte phirte haiñ āj-kal
kal ko ye apne gird zamāna nachā.eñge
jis roz mil gayā hameñ us kā koī nishāñ
pahle to terā naqsh-e-kaf-e-pā miTā.eñge
marne ko ek shart pe tayyār huuñ ki aap
mahshar meñ mujh ko apnā hī kah kar uThā.eñge
tab tak na chain pā.eñge rind-e-ḳharāb-hāl
jab tak na jaam sāqī-e-kausar pilā.eñge
ābād bastiyoñ se hameñ kyā ġharaz ki ham
'āshiq haiñ jā ke dasht meñ ḳhema lagā.eñge
farhād tujh se log zamāne meñ ab kahāñ
ab kaun haiñ jo duudh kī nahreñ bahā.enge
'haidar' jo dushmanān-e-suḳhan haiñ vo dekhiyo
aa kar mire mazār pe ġhazleñ sunā.eñge
mahshar mein haal dil ka KHuda ko sunaenge
chup-chap us ke ba'd jahannum mein jaenge
sajde ki jab kahin bhi tamanna hui hamein
har bar tera naqsh-e-kaf-e-pa banaenge
socha na tha ki pahlu se lag kar raqib ke
is naz aur ada se wo mahfil mein aaenge
mehndi ko pisne ki wo zahmat karenge kyon
hathon pe mere KHun ki mehndi rachaenge
ek roz ghar se niklenge meri talash mein
afsos par wo mera nishan tak na paenge
ghumegi ye zamin bhi ulTi isi ke sath
kuze ko rakh ke chaak pe aisa ghumaenge
masti mein jo ye nachte phirte hain aaj-kal
kal ko ye apne gird zamana nachaenge
jis roz mil gaya hamein us ka koi nishan
pahle to tera naqsh-e-kaf-e-pa miTaenge
marne ko ek shart pe tayyar hun ki aap
mahshar mein mujh ko apna hi kah kar uThaenge
tab tak na chain paenge rind-e-KHarab-haal
jab tak na jam saqi-e-kausar pilaenge
aabaad bastiyon se hamein kya gharaz ki hum
'ashiq hain ja ke dasht mein KHema lagaenge
farhad tujh se log zamane mein ab kahan
ab kaun hain jo dudh ki nahren bahaenge
'haidar' jo dushmanan-e-suKHan hain wo dekhiyo
aa kar mere mazar pe ghazlen sunaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.