mahshar tha ek aan mein TuTa dharti par
mahshar thā ik aan meñ TuuTā dhartī par
jaane kis aaseb kā saayā dhartī par
kaun hai jis ne tan-man dhan sab luuT liyā
kis ne rakhā hai paañv ḳhudāyā dhartī par
sādhū sant faqīr purohit maulānā
kal-yug meñ phir kaun utartā dhartī par
ye ab shāḳheñ aur jaḌeñ bhī phaileñgī
kyoñ chheḌā thā qissa merā dhartī par
kis kis ne dafnā.e phūloñ jaise log
kis kis ne bārūd ko puujā dhartī par
dhartī gol hai hogī ye bāteñ mat soch
soch ki terā bojh hai kitnā dhartī par
raat badal jaate hī jaane ye kis ne
phūl-badan sā rang bikherā dhartī par
mere jaise dīvāne kab sochte haiñ
terā kyā hai kyā hai merā dhartī par
baat girah meñ bāñdh le 'īraj' mere baad
utregā insān na mujh sā dhartī par
mahshar tha ek aan mein TuTa dharti par
jaane kis aaseb ka saya dharti par
kaun hai jis ne tan-man dhan sab luT liya
kis ne rakha hai panw KHudaya dharti par
sadhu sant faqir purohit maulana
kal-yug mein phir kaun utarta dharti par
ye ab shaKHen aur jaDen bhi phailengi
kyon chheDa tha qissa mera dharti par
kis kis ne dafnae phulon jaise log
kis kis ne barud ko puja dharti par
dharti gol hai hogi ye baaten mat soch
soch ki tera bojh hai kitna dharti par
raat badal jate hi jaane ye kis ne
phul-badan sa rang bikhera dharti par
mere jaise diwane kab sochte hain
tera kya hai kya hai mera dharti par
baat girah mein bandh le 'iraj' mere baad
utrega insan na mujh sa dharti par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.