mahsus hoti hi nahin teri kami mujhe
mahsus hoti hi nahin teri kami mujhe
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
mahsūs hotī hī nahīñ terī kamī mujhe
le aa.ī kis maqām pe ye zindagī mujhe
niiñd aane kā koī nahīñ imkāñ so raat bhar
maiñ dekhtā rahūñgā ghaḌī ko ghaḌī mujhe
apnā ḳhayāl rakkheñge so.eñge vaqt par
jo baat maiñ ne kahnī thī us ne kahī mujhe
baaqī vo puurā puurā khulā mujh pe ḳhud-baḳhud
band-e-qabā kī girheñ thiiñ bas kholnī mujhe
achchhe nasīb vaalā thā tū yaar is liye
ye raushnī milī hai tujhe tīrgī mujhe
haiñ sau tarīqe ġham se rihā.ī ke mere paas
fankār huuñ pasand nahīñ ḳhud-kushī mujhe
aisī jagah the donoñ meñ se ik ne marnā thā
'kaunain' us ko pyārā thā maiñ zindagī mujhe
mahsus hoti hi nahin teri kami mujhe
le aai kis maqam pe ye zindagi mujhe
nind aane ka koi nahin imkan so raat bhar
main dekhta rahunga ghaDi ko ghaDi mujhe
apna KHayal rakkhenge soenge waqt par
jo baat main ne kahni thi us ne kahi mujhe
baqi wo pura pura khula mujh pe KHud-baKHud
band-e-qaba ki girhen thin bas kholni mujhe
achchhe nasib wala tha tu yar is liye
ye raushni mili hai tujhe tirgi mujhe
hain sau tariqe gham se rihai ke mere pas
fankar hun pasand nahin KHud-kushi mujhe
aisi jagah the donon mein se ek ne marna tha
'kaunain' us ko pyara tha main zindagi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.