mahtab hai bahaar hai saqi hai jam hai
mahtāb hai bahār hai saaqī hai jaam hai
kitnā sukūn dil ke liye intizār hai
har raah kahkashāñ kī tarah hai sajī huī
hamrāh mere kaun ye mahv-e-ḳhirām hai
saaqī kī chashm-e-mast pilātī rahe jise
us bāda-kash ko jaam se piinā harām hai
kyūñkar na rāh-e-ishq meñ vo sarbuland ho
qismat meñ jis kī gesū-e-jānāñ kī shaam hai
khilne lage haiñ phuul mire dil kī shāḳh par
shāyad koī hasīñ hai jo bālā-e-bām hai
har samt jalva-rez hai husn-o-jamāl-e-yār
ai be-ḳhudī-e-ishq ye kaisā maqām hai
karte haiñ qatl sab ko nigāhoñ ke tiir se
un mah-vashoñ ke paas yahī ek kaam hai
adnā sā ik karishma hai terī nigāh kā
sahn-e-chaman meñ mausam-e-gul jis kā naam hai
ḳhālī koī bhī sāġhar-e-dil rah na jā.egā
'shabbīr' aaj bāda-e-dīdār-e-ām hai
mahtab hai bahaar hai saqi hai jam hai
kitna sukun dil ke liye intizar hai
har rah kahkashan ki tarah hai saji hui
hamrah mere kaun ye mahw-e-KHiram hai
saqi ki chashm-e-mast pilati rahe jise
us baada-kash ko jam se pina haram hai
kyunkar na rah-e-ishq mein wo sarbuland ho
qismat mein jis ki gesu-e-jaanan ki sham hai
khilne lage hain phul mere dil ki shaKH par
shayad koi hasin hai jo baala-e-baam hai
har samt jalwa-rez hai husn-o-jamal-e-yar
ai be-KHudi-e-ishq ye kaisa maqam hai
karte hain qatl sab ko nigahon ke tir se
un mah-washon ke pas yahi ek kaam hai
adna sa ek karishma hai teri nigah ka
sahn-e-chaman mein mausam-e-gul jis ka nam hai
KHali koi bhi saghar-e-dil rah na jaega
'shabbir' aaj baada-e-didar-e-am hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.