mahtabon ka tu shahzada mere sath andhere hain
mahtāboñ kā tū shahzāda mere saath añdhere haiñ
shahr-o-shabistāñ tere haiñ sahrā-o-bayābāñ mere haiñ
mere ujḌe dil meñ adhūre armānoñ ke Dere haiñ
jāgtī āñkhoñ meñ jaise TuuTe sapnoñ ke ghere haiñ
be-mafhūmī dhuñdle paikar bikhre bikhre ḳhvāb-o-ḳhayāl
apnī bāhoñ ke halqe meñ jaise mujh ko ghere haiñ
dhuup kī chādar ke nīche sirf apne badan kā saaya hai
ḳhemoñ ke jangal meñ kahne ko Dere to bahutere haiñ
kis se dil kī baat karūñ maiñ ro-ro chup rah jaatā huuñ
bikhrā kamra Dastī rāteñ sannāToñ ke Dere haiñ
lafzoñ kī bohtāt se yuuñ to mushkil hai pahchān karūñ
bātoñ se to 'shams' hai lagtā jaise sab hī mere haiñ
mahtabon ka tu shahzada mere sath andhere hain
shahr-o-shabistan tere hain sahra-o-bayaban mere hain
mere ujDe dil mein adhure armanon ke Dere hain
jagti aankhon mein jaise TuTe sapnon ke ghere hain
be-mafhumi dhundle paikar bikhre bikhre KHwab-o-KHayal
apni bahon ke halqe mein jaise mujh ko ghere hain
dhup ki chadar ke niche sirf apne badan ka saya hai
KHemon ke jangal mein kahne ko Dere to bahutere hain
kis se dil ki baat karun main ro-ro chup rah jata hun
bikhra kamra Dasti raaten sannaTon ke Dere hain
lafzon ki bohtat se yun to mushkil hai pahchan karun
baaton se to 'shams' hai lagta jaise sab hi mere hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.