mahw aisa hun sar-o-pa ki KHabar kuchh bhi nahin
mahw aisa hun sar-o-pa ki KHabar kuchh bhi nahin
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
mahv aisā huuñ sar-o-pā kī ḳhabar kuchh bhī nahīñ
tere jalva ke sivā madd-e-nazar kuchh bhī nahīñ
ab to thāme hue phirte ho kaleja apnā
tum to kahte the ki aahoñ meñ asar kuchh bhī nahīñ
ham bayāñ karte haiñ jumla kī adam ke tarkīb
mubtadā us kī to hastī hai ḳhabar kuchh bhī nahīñ
ḳhauf hai un pe na zāhir kahīñ ulfat ho mirī
dil meñ go dard hai kahtā huuñ magar kuchh bhī nahīñ
nikle jannat se jo aadam to jahāñ meñ aa.e
itnī dilchasp to bastī hai magar kuchh bhī nahīñ
putlī vāloñ kī sī chādar hai hijāb-e-hastī
sab udhar hī ke karishme haiñ idhar kuchh bhī nahīñ
jab se ye jaan liyā dāman-e-rahmat hai vasī.a
hashr kā un ke gunahgār ko Dar kuchh bhī nahīñ
mahw aisa hun sar-o-pa ki KHabar kuchh bhi nahin
tere jalwa ke siwa madd-e-nazar kuchh bhi nahin
ab to thame hue phirte ho kaleja apna
tum to kahte the ki aahon mein asar kuchh bhi nahin
hum bayan karte hain jumla ki adam ke tarkib
mubtada us ki to hasti hai KHabar kuchh bhi nahin
KHauf hai un pe na zahir kahin ulfat ho meri
dil mein go dard hai kahta hun magar kuchh bhi nahin
nikle jannat se jo aadam to jahan mein aae
itni dilchasp to basti hai magar kuchh bhi nahin
putli walon ki si chadar hai hijab-e-hasti
sab udhar hi ke karishme hain idhar kuchh bhi nahin
jab se ye jaan liya daman-e-rahmat hai wasia
hashr ka un ke gunahgar ko Dar kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.