mahw-e-hairat hun ki aaKHir ye tamasha kya hai
mahw-e-hairat hun ki aaKHir ye tamasha kya hai
Habeeb Ahmad Anjum Datiavi
MORE BYHabeeb Ahmad Anjum Datiavi
mahv-e-hairat huuñ ki āḳhir ye tamāsha kyā hai
sub.h ḳhud pūchh rahī hai ki ujālā kyā hai
is badaltī huī duniyā kā bharosa kyā hai
sab isī fikr meñ baiThe haiñ ki hotā kyā hai
be-amal ho to samajhiye ki hai be-sūd hayāt
jis kā maqsad na ho vo jiinā bhī jiinā kyā hai
pūchhtā hai ye charāġhoñ meñ lahū jal jal kar
talḳhī-e-daur batā de tirī manshā kyā hai
merī āñkhoñ se zarā dil meñ utar kar dekho
log kahte haiñ jise ishq vo hotā kyā hai
hech hai is ke liye daulat-e-duniyā 'anjum'
kaash insān samajh le mirā rutba kyā hai
mahw-e-hairat hun ki aaKHir ye tamasha kya hai
subh KHud puchh rahi hai ki ujala kya hai
is badalti hui duniya ka bharosa kya hai
sab isi fikr mein baiThe hain ki hota kya hai
be-amal ho to samajhiye ki hai be-sud hayat
jis ka maqsad na ho wo jina bhi jina kya hai
puchhta hai ye charaghon mein lahu jal jal kar
talKHi-e-daur bata de teri mansha kya hai
meri aankhon se zara dil mein utar kar dekho
log kahte hain jise ishq wo hota kya hai
hech hai is ke liye daulat-e-duniya 'anjum'
kash insan samajh le mera rutba kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.