mahw-e-hairat hun mera Khaar ne rasta dekha
mahv-e-hairat huuñ mirā ḳhaar ne rasta dekhā
ek kirdār kā kirdār ne rasta dekhā
kaun kahtā hai talabgār ne rasta dekhā
ek be-dār kā bedār ne rasta dekhā
kam-nasībī ki mulāqāt se mahrūm rahe
ḳhush-nasībī ki mire yaar ne rasta dekhā
anginat aa.e ruke aur ravāna bhī hue
kab kisī shaḳhs kā sansār ne rasta dekhā
apne vāloñ ne musībat meñ bhulāyā lekin
dostī ke liye aġhyār ne rasta dekhā
maiñ ne sachchā.ī ko jis roz se apnāyā hai
merā aksar rasan-o-dār ne rasta dekhā
tujh se 'mahmūd' use pyaar bahut thā shāyad
marte dam tak tire bīmār ne rasta dekhā
mahw-e-hairat hun mera KHar ne rasta dekha
ek kirdar ka kirdar ne rasta dekha
kaun kahta hai talabgar ne rasta dekha
ek be-dar ka bedar ne rasta dekha
kam-nasibi ki mulaqat se mahrum rahe
KHush-nasibi ki mere yar ne rasta dekha
anginat aae ruke aur rawana bhi hue
kab kisi shaKHs ka sansar ne rasta dekha
apne walon ne musibat mein bhulaya lekin
dosti ke liye aghyar ne rasta dekha
main ne sachchai ko jis roz se apnaya hai
mera aksar rasan-o-dar ne rasta dekha
tujh se 'mahmud' use pyar bahut tha shayad
marte dam tak tere bimar ne rasta dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.