mahw-e-KHwab-e-haal hain tabir-e-mustaqbil se dur
mahv-e-ḳhvāb-e-hāl haiñ tābīr-e-mustaqbil se duur
ḳhufta-zehnī ne kiyā hai kis qadar hāsil se duur
kuchh ḳhabar bhī hai tujhe o gosha-gīr-o-mo.atakif
rāh-rau kitne bhaTak kar ho ga.e manzil se duur
asl meñ tū apne dil hī se nahīñ hai bā-ḳhabar
varna ai nādāñ nahīñ hai koī bhī shai dil se duur
niyyat-e-sādiq salāmat jazba-e-kāmil ba-ḳhair
duur hai kab tum se manzil kab ho tum manzil se duur
zindagī hai ik musalsal soz-e-paiham iztirāb
sa.ī-e-hāsil se qarīb aur sa.i-e-lā-hāsil se duur
dil meñ hai azm-e-musalsal azm meñ paiham taḌap
haiñ vahī kuchh paas manzil ke jo haiñ manzil se duur
ai 'shifā' āsāniyāñ milnā koī āsāñ nahīñ
mushkil aatī hai to hotī hai baḌī mushkil se duur
mahw-e-KHwab-e-haal hain tabir-e-mustaqbil se dur
KHufta-zehni ne kiya hai kis qadar hasil se dur
kuchh KHabar bhi hai tujhe o gosha-gir-o-moatakif
rah-rau kitne bhaTak kar ho gae manzil se dur
asl mein tu apne dil hi se nahin hai ba-KHabar
warna ai nadan nahin hai koi bhi shai dil se dur
niyyat-e-sadiq salamat jazba-e-kaamil ba-KHair
dur hai kab tum se manzil kab ho tum manzil se dur
zindagi hai ek musalsal soz-e-paiham iztirab
sai-e-hasil se qarib aur sai-e-la-hasil se dur
dil mein hai azm-e-musalsal azm mein paiham taDap
hain wahi kuchh pas manzil ke jo hain manzil se dur
ai 'shifa' aasaniyan milna koi aasan nahin
mushkil aati hai to hoti hai baDi mushkil se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.