mahw-e-ranai-e-nigar mein hai
mahv-e-ra.anā.ī-e-nigār meñ hai
yā nazar phuul ke kanār meñ hai
gul bhī zaḳhmī sabā bhī āvāra
kaun āsūda lāla-zār meñ hai
merī āshufta-qismatī kī jhalak
kuchh agar hai to zulf-e-yār meñ hai
ai ḳharāb-e-talāsh-e-ḳhizr-o-masīh
zindagānī fareb-e-yār meñ hai
ishq se husn aa gayā varna
shā.erī apnī kis shumār meñ hai
haa.e vo aañkh jo na ho mushtāq
aah vo dil jo iḳhtiyār meñ hai
kaun jaane use ki bechāra
'jauhar'-e-ḳhush-navā barār meñ hai
mahw-e-ranai-e-nigar mein hai
ya nazar phul ke kanar mein hai
gul bhi zaKHmi saba bhi aawara
kaun aasuda lala-zar mein hai
meri aashufta-qismati ki jhalak
kuchh agar hai to zulf-e-yar mein hai
ai KHarab-e-talash-e-KHizr-o-masih
zindagani fareb-e-yar mein hai
ishq se husn aa gaya warna
shaeri apni kis shumar mein hai
hae wo aankh jo na ho mushtaq
aah wo dil jo iKHtiyar mein hai
kaun jaane use ki bechaara
'jauhar'-e-KHush-nawa barar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.