mahw-e-sajda kabhi masruf-e-dua hota hun
mahv-e-sajda kabhī masrūf-e-duā hotā huuñ
ek lamha bhī agar tujh se judā hotā huuñ
baat kartā huuñ to hotā huuñ qayāmat kā sukūt
aur ḳhāmosh jo hotā huuñ sadā hotā huuñ
apne jazbāt pe rakhtā huuñ mukammal qaabū
maiñ kisī par baḌī mushkil se fidā hotā huuñ
merī fitrat hī nahīñ chīḳhne chillāne kī
maiñ to ḳhud se bhī salīqe se judā hotā huuñ
maiñ na.e ahd kī tahqīq huuñ taḳhlīq nahīñ
raaz kī tarah kitāboñ meñ chhupā hotā huuñ
aañkh meñ huuñ to nazar aatā huuñ ik qatra-e-ashk
phail jā.ūñ to samundar se sivā hotā huuñ
mahw-e-sajda kabhi masruf-e-dua hota hun
ek lamha bhi agar tujh se juda hota hun
baat karta hun to hota hun qayamat ka sukut
aur KHamosh jo hota hun sada hota hun
apne jazbaat pe rakhta hun mukammal qabu
main kisi par baDi mushkil se fida hota hun
meri fitrat hi nahin chiKHne chillane ki
main to KHud se bhi saliqe se juda hota hun
main nae ahd ki tahqiq hun taKHliq nahin
raaz ki tarah kitabon mein chhupa hota hun
aankh mein hun to nazar aata hun ek qatra-e-ashk
phail jaun to samundar se siwa hota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.