mai-e-gul-rang ki hai jalwa-gari shishe mein
mai-e-gul-rang ki hai jalwa-gari shishe mein
Meer Usman Ali Usman
MORE BYMeer Usman Ali Usman
mai-e-gul-rang kī hai jalva-garī shīshe meñ
band kī hai mire saaqī ne parī shīshe meñ
charḳh par rang-e-shafaq dekh ke vajd aatā hai
kyā sharāb-e-shafaqī hai ye bharī shīshe meñ
mai-kasho aish uThā lo ki bahār āḳhir hai
jalva-e-mai hai charāġh-e-saharī shīshe meñ
zindagī kā chaman is mai se tar-o-tāza hai
sāqiyā hai ye hayāt-e-basharī shīshe meñ
duḳht-e-raz parde ke andar bhī sitam Dhātī hai
kaam kar jaatī hai jādū-nazarī shīshe meñ
shīsha-o-jām meñ kyā hai ye na pūchho 'usmān'
be-ḳhudī jaam meñ hai be-ḳhabarī shīshe meñ
mai-e-gul-rang ki hai jalwa-gari shishe mein
band ki hai mere saqi ne pari shishe mein
charKH par rang-e-shafaq dekh ke wajd aata hai
kya sharab-e-shafaqi hai ye bhari shishe mein
mai-kasho aish uTha lo ki bahaar aaKHir hai
jalwa-e-mai hai charagh-e-sahari shishe mein
zindagi ka chaman is mai se tar-o-taza hai
saqiya hai ye hayat-e-bashari shishe mein
duKHt-e-raz parde ke andar bhi sitam Dhati hai
kaam kar jati hai jadu-nazari shishe mein
shisha-o-jam mein kya hai ye na puchho 'usman'
be-KHudi jam mein hai be-KHabari shishe mein
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 115)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.