mai ka mushtaq hai dil aankh ka saudai hai
mai kā mushtāq hai dil aañkh kā saudā.ī hai
jazba-e-shauq ba-andāza-e-ra.anā.ī hai
anjuman meñ bhī kisī anjuman-ārā ke baġhair
dil se tā-hadd-e-nazar ālam-e-tanhā.ī hai
shahr-e-gul anjuman-e-māh-vashāñ kū-e-muġhāñ
dil kahīñ bhī ho magar terā tamannā.ī hai
jab bhī ham abtarī-e-hāl se māyūs hue
ziist maazī kī hasīñ yaad uThā laa.ī hai
rang pe dam se hai parvānoñ ke saarā māhaul
sham' ko vāhima-e-anjuman-ārā.ī hai
shahr meñ rah ke ye ehsās huā hai ki ḳhushī
duur dehāt meñ bajtī huī shahnā.ī hai
haa.e vo husn ki chaḌhtī huī kirnoñ kī uḌaan
aah ye shauq ki TuuTī huī añgḌā.ī hai
āñsuoñ se kiyā sairāb diloñ ko 'shaukat'
nahr niklī hai to is thal meñ bahār aa.ī hai
mai ka mushtaq hai dil aankh ka saudai hai
jazba-e-shauq ba-andaza-e-ranai hai
anjuman mein bhi kisi anjuman-ara ke baghair
dil se ta-hadd-e-nazar aalam-e-tanhai hai
shahr-e-gul anjuman-e-mah-washan ku-e-mughan
dil kahin bhi ho magar tera tamannai hai
jab bhi hum abtari-e-haal se mayus hue
zist mazi ki hasin yaad uTha lai hai
rang pe dam se hai parwanon ke sara mahaul
sham' ko wahima-e-anjuman-arai hai
shahr mein rah ke ye ehsas hua hai ki KHushi
dur dehat mein bajti hui shahnai hai
hae wo husn ki chaDhti hui kirnon ki uDan
aah ye shauq ki TuTi hui angDai hai
aansuon se kiya sairab dilon ko 'shaukat'
nahr nikli hai to is thal mein bahaar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.